Khake Madina Hoti Main Khaksaar Hota

Khake Madina Hoti Main Khaksaar Hota
Hoti rahe Madina mera ghubaar hota.

Aaqa agar karam se taiba mujhe bulate
Roze pe sadqe hota un par nisaar hota.

Woh bekasu'n ke Aaqa bekas ko gar bulate
Kyun sab ki tho karu'n par parhkar woh khwaar hota.

Taiba main gar meri do gaz zamin hoti
Un ke qarib basta dil ko qaraar hota.

Mar mitke khub lagti mitti meri thikane
Gar unki rah guzar par mera mazaar hota.

Yeh aarzu hai dil ki hota woh sabz Ghumbad
Aur main ghubaar ban kar us par nisaar hota.

Bechain dilko ab tak samjha bujha ke rak-kha
Magar ab to isse Aaqa nahin intezaar hota.

Salik hue ham unke Woh bhi hue hamare
Dile mujtarib ko lekin nahi'n ae'tebaar hota. 

Post a Comment

0 Comments